2 din baad, Sakshi ke pass ek agency ka call aya or unhone ek assignment ke bare mein or kuch photo share kiye. Sakshi ne woh assignment dekha jo ek innerwear ka add tha jismein sakshi ko bra or panty ki advertisment ke liye kuch photo click karne the. Sakshi ko woh kaam acha laga kyuki uske liye ache paise mil rahe the. Sakshi ne Neeraj ko bataya ki usko ek modeling ka new kaam mila hi. Neeraj ko jab ad shoot pe bare mein pata chala toh usne clear mana kar diya. Sakshi boli are maine phele bhi toh aise photoshoot kiye hi. Neeraj bola dekho pehle tumhari shadi nahi hui thi lekin ab tum kisi ke ghar ki ijjat ho. Toh main tumhe ye photoshoot nahi karne doga jabtak mein tumhara husband hu. Sakshi boli thik hi main mana kar deti hu lekin mujhe ache paise mil rahe the ish kaam ke. Neeraj bola nahi matlab nahi. Sakshi ne photoshoot wale se baat ki or mana kiya toh woh bole dekho, ye ek bahut achi opportunity hi wapas industry mein ane ke liye. Waise bhi ye ad shoot abhi nahi 3 months baad hoga or main tumhe ek bar phir se call karoga.
Kuch din or nikal gaye or Phir ek din Rani ka call aya Sakshi ko didi apne kuch bataya nahi. Sakshi boli woh meri baat nahi hui thi Neeraj se, tum mujhe 2 din ka time do main tumhe update deti hu. Sakshi, Neeraj ke pass ayi or boli tumhari job ka kuch ho raha hi kya. Neeraj bola main try toh kar raha hu lekin sabhi companies corona ki hire nahi kar rahi hi. Sakshi boli, Dekho mere pass ek idea hi jisse hamare financial condition mein bhi help hogi or tumhe bhi kaam mil jayega. Neeraj ne pucha aise kya baat hi, please mujhe batao jara. Sakshi boli meri baat Rani se hui thi, Neeraj ne pucha kon Rani, Are woh jo hamare ghar mein kaam karti thi. Neeraj bola acha naukrani. Ha toh usne kya bataya or woh hamari kaise help kar sakti hi. Sakshi boli woh hamare yaha or bhi dusre gharo mein kaam karti thi, Lekin Corona ki wajah woh ab nahi aa pa rahi hi. Usne bataya ki usko help ki zarurat hi toh maine socha kyu na tum help kar do or badle mein tumhe paise bhi mil jayege. Neeraj bola Sakshi tum pagal ho gayi ho. Tumhe pata hi ki main MBA gratuate hu or main kya help karoga. Dusro ke ghar mein jhadu pocha karoga. Sakshi boli dekho tum practical ho kar nahi soch rahe. Tum itne time se ghar mein khali baithe ho na koi kaam kar rahe or na koi paisa aa raha. Yaha tak ki mujhe kuch kaam mila toh tumne woh bhi mujhe lene se mana kar diya. Ab batao ghar ka kharch kaise chalega. Neeraj bola main try ko kar raha hu lekin agar mujhe kaam nahi mil raha hi toh main kya karo. Agar main tumhari baat maan bhi lu toh kitna paisa mil jayega. Sakshi boli dekho paise thode kam hoge lekin atleast paise toh milege. Ab tum batao ki tum meri baat manoge ya phir main advertisment shoot ke liye bol do. Neeraj bola dekho agar main yes bol bhi du toh kya guartee hi ki mujhe dusre gharo mein kaam mil jayega. Sakshi boli dekho plan ye hi ki Rani tumhe ghar ke sabhi kaam sikha degi. Phir woh jis agency mein job karti hi waha se tumhe dusre gharo mein kaam dilwa degi. Neeraj bola lekin kya ye itna easy hi. Sakshi bola woh sab training tumhe Rani degi. Lekin ek baat yaad rahe tumhe ye sab kaam ek ladki bankar karna hi. Ab neeraj ke stomach mein pain hone laga. Sakshi boli main kal Rani ko bula rahi hu. Phir baat karte hi puri.
Next Day Rani, Sakshi se milne ke liye pahuchi. Aaj Rani ne saaf salwar suit pehne huye the. Sakshi ne usko sofe pe baithya or uske liye chai bana kar le ayi. Neeraj ko ye sab dekhkar bahut bura lag raha tha kyuki woh ek naukrani ke sath baith chai pi raha tha. Sakshi boli kya baat hi Rani aaj tum kuch different lag rahi ho. Ye Beautiful earring or sundar si nosering. Rani boli didi woh main agency ko join kar liya hi or ab main part time unka kaam bhi dekhti hu or ye earring or nosering bhi unhone diye hi. Sakshi boli bahut achi baat hi. Meri Neeraj se baat ho gayi hi or jo kaam tumne bataya tha uske liye woh ready hi. Rani boli ye toh bahut achi baat hi Didi. Didi sabse phele humein sir ko ek ladki ki tarah banana hoga. Sakshi ne pucha woh kaise hoga. Rani boli meri ek friend hi jo kinnar hi or woh beauty parlor chalati hi. Maine usse baat ki hi. Woh artificial breast foam, hip pads, wig or waki cheezo ki jugad kar degi. Lekin apko uske liye 5k rupees dene hoge lekin jaise hi aap woh saman wapas karege, Sare paise apko wapas mil jayege. Sakshi boli thik hi. Kab chalna hi. Rani boli abhi chalo. Phir woh teeno taxi mein baithkar Rani ke bataye huye address pe pahuch gaye. Almost 1 hr ki drive ke baad woh log pahuch gaye. Ye bahut hi gandi jagah thi. Rani boli yaha pe sabhi gareeb log jhugi banakar rehte hi or daily workers ki tarah job karte hi. Phir Rani un dono ko ek ghar mein le gayi. Jaha pe ek kinner pehele se tha. Rani ne usko namaste kaha or bola, Sakshi didi ye Saniya hi jo hamari help karegi. Saniya ne pucha, Rani paise ke baat ho gayi. Rani ne jaldi se 5k nikal kar Saniya ko diye. Saniya ne woh paise apne pass rakh liye or Rani ko ek paper diya or boli isko padh lo or sign kar do, taki mujhe koi problem na ho baad mein. Sakshi ne woh paper padhna start kiya, jismein likha tha main apni marzi se sara treatment karwa raha hu, waha Neeraj ka naam likh diya. Niche likha tha, breast treatment, hair treatment, hip treatment etc. Sakshi ne woh padh liya or Neeraj ko kaha ispe sign kardo. Neeraj ne pucha kya hi ye. Sakshi boli maine padh liya hi tum bas sign kar do. Neeraj ne sign kar diye. Saniya ne woh paper apne pass rakh liye or boli dekho Sabse phele hum inke puri body ke hair remove kar dege, phir chest pe artificial breast foam or hip pe pad chipka dege. Uske baad head ko shave karke uspe ek wig laga dege. isme 2-3 hrs ka time lag jayega. Tab tak aap bahar hi baitho. Saniya neeraj ko under room mein le gayi or preparation start kar di. Sakshi or Rani bahar hi baithi thi. Sakshi ne pucha ye jagah toh bahut dirty hi yaha log kaise rehte hi. Rani boli didi hum log gareeb hi humein aise jagah pe hi rehna hota hi. Dono baaton mein lag gaye or time ka pata nahi chala.
Discussion (0)